Monday, October 24, 2011

Bas Kutch Hi Doori Hai..

Bas Kutch Hi Doori Hai..

Bas kutch hi doori hai
muzhme aur sajan mai
aayenge pardesi piya
jab chand utrega aangan mai….
virah ki ghariya bit chali
tarap-mailan ke sapno se
ab mera natkhat sajan
mukat karega virah tapno se
jab se gye pardes piya
kitni lambi y judai hai
par ab to aane hi wale hai
to laga k kalhito hue judai hai
ab aane wale hai sajan
dil dharka mera barmbar
jaldi se kar solah singar
khari mai chokat par nain bichay
ab der na kar mere singar
chand ka darshan hone laga
mai bethi hu thal sajay
socho to mere pyare sajan ham
virah k bad kaise milan ki rat bitay

Kisi Aur Duniya Me Le Jaunga Tumhe

Kisi Aur Duniya Me Le Jaunga Tumhe

maine thaama hai tumhaara haath umra bhar ke liye,
na main chhodunga tumhaara saath pal bhar ke liye,

julfon ke saaye me tumhaare apna ghar main se
apne baahon ke aagosh me hi ab main tumhe sulaunga,

chaahke bhi na tum dur kabhi ja paogi mujhse,
chahat me is qadar ab tum bandh jaogi mujhse,

mohabbat ki sej pe khushiyon ki maala pehnaunga tumhe,
is duniya se dur kisi aur duniya me le jaunga tumhe.

Dhoti ne Kaha Pajaame Se : Mit Gai Jab Hasrato Ki Duniya

Pyaare Praare SMS

Dhoti ne kaha pajaame se ham dono bane hai dhaage se,

Fark hai to sirf itna hai kee

Main khulta hu peeche se aur

Tum khulate ho aage se.

*****************************

Kehte to tum theek magar ab raha nahi jata,

Ye dard dooriyo ka ab saha nahi jata.

*****************************

Mit gayi jab hasrato ki duniya,

Tab kahi jaakar unhe mera khyaal aaya,

Lut raha tha mera ghar jab uske saamne,

Tab bhi unhe jara bhi malaal na aaya.

*****************************

Tere bagair jindagi achi lagti nahi,

Koi khushi ab sacchi lagti nahi,

Mat pooch mujhase tu judaai ka aalaam,

Tere bagair chaandni bhi bhali lagti nahi.

*****************************

Na jeene ki khushi hai mujhko, na marne ka hoga gam,

Bas teri yaad aane par, ho jaate hai aankhen nam,

Jamaane ki koi bhi khushi mujhe achi nahi lagti,

Ho gaya hai yaaro mera bewafa sanam.

Main Piya Ke Ghar Chali

Main Piya Ke Ghar Chali

Mehendi haathon me lagi hai,
jaana piya ke ghar mujhe,
chhod ke baabul ka ghar,
main piya ke ghar chali,

aakhon me sapne kuch liye,
dil me ummeedon ko sajaake,
khwaabon ko apne poora karne,
apne piya ke ghar chali,

aankhen hain geeli aansuon se,
ghunghat me hai chehra chhupa,
apne piya ka haath thaame,
main piya ke sang chali,

kheli thi sakhiyon ke hi sang,
bachpan se leke aaj tak,
chhod ke us aangan ko main,
apne piya ke ghar chali,

baabul ki aankhon ko bhigoke,
maa ko bhi apne rulaake,
ek naye ghar ko sajaane,
apne piya ke sang chali,

maa milegi us ghar me bhi,
paapa bhi honge saath hi,
kuch naye rishton se judne,
apne piya ke ghar chali,

saath hongi yaadein puraani,
yaad hongi baatein puraani,
un yaadon ko saath leke,
apne piya ke ghar chali.

Un Barsaat Ke Dino Ko Yaad Na Karo

Un Barsaat Ke Dino Ko Yaad Na Karo

yun apni mohabbat ko tum aaj badnaam na karo,
kisi aur ki ho ke tum ab aisa kaam na karo,

zamaane ko to bas mauka chahiye hasi udaane ka,
tum apni izzat ko yun sare aam neelam na karo,

hamaara milan mumkin nahi ye tumhe bhi hai pata,
bewajah tum mere kareeb aane ki koshish na karo,

ab tumhaari zindagi sirf tumhaari nahi rahi,
tum yun kisi aur ki zindagi kharaab na karo,

chahta hai wo bhi tumhe apni jaan se badhkar,
tum uski mohabbat ko mere liye ruswa na karo,

ab uske sang kai aur rishte jud gaye hain tumse,
tum un rishton ko aaj yun qurbaan na karo,

bhool jao tum ki kabhi mile bhi the hum tum,
tum un barsaat ke dino ko ab yaad na karo

Facebook Par Milta Nahi

Facebook Par Milta Nahi

Kisi ke aane ke Intezaar me rahte hai,
Usme kuch mere yaar rahte hai,
Ab in khatakte khatko me,
Dil kahi Dhadakte nahi,
Ab in "smile" ki "smile" me,
Hum kyo unta haste nahi,
Hazaaro hai website,
Par ab dil bahalte nahi,
Chatting me khoob Batiyaate hai,
Par saamne kabhi milte nahi,
Music player ke gaano me,
Dholak taali waali baat nahi,


Facebook ke comment me,
Wo hostal ki gaali waalo baat nahi,
Maa ke kahne par bhi,
Ab Baahar tahalte kyo nahi,
Wo rang, wo shaame, wo gaaliyaa, wo baatein,
Wo chowkhat ke tappe,
Wo nukkad ki gappe,
Aur unka shaam ko chat par aanaa,
Facebook par milta nahi.....

Hum se mat poch rastay gher ke

Hum Se Mat Poch Rastay Gher Ke

Hum se mat poch rastay gher ke
hum musafer hain zindage bher ke

koon suraaj ke aankh se din bher
zakham ginta hai shab ki chader ke

sulah ker le yeh soch ker main ne
mere dushman na the baraber ke

kudh se khemay jala diye main ne
hoslay diekhna the lashker ke

yeh sitaray yeh tottay motti!
aats hain maray didahay ter ke

gerjanoo muslehat na aapnaye
saray rishtay bohat hain phater ke

hum bhi chuntay the sipiyan akser
hum bhi maqrooz hain samander ke

aankh ke gird matami halqay
saye jessay jalay huwe gher ke

dostoon ki zuban tu khulnay do
bhool jaoo ge zakham khanjer ke

chand bhi zerd per gaya aakher
ujray aangan main roshni ker ke

aankh nam bhi karo to bas itni
rang pheekay parain na manzer ke

Nadi mein Principal Doob Raha Tha

Nadi mein Principal Doob Raha Tha

College ke
peeche nadi mein principle doob
raha tha
pappu ne dekha aur zor zor se
chillate huwe bhaaga
... .
..
.
.
.
.
Kal chutti hai...
kal chutti hai......
'@HAPPY DIWALI@'
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Diwali Greetings

Wallpapers