Sunday, October 23, 2011

Dekhiye Yuhin Agar Humse Milte Rahe

Dekhiye Yuhin Agar Humse Milte Rahe

Song: Aap Yun Hi Agar Humse Milte Rahe
Film: Ek Musafir Ek Hasina
Year: 1962
Starring: Joy Mukherjee, Sadhana, Rajendranath, Kamal Kapoor, Dhumal, Jagdish Raj
Singer: Mohammad Rafi, Asha Bhosle

Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega

Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega
... Aisi baatein na kar o haseen jaadugar
Mera dil teri aakhon mein kho jayega

Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega

Peeche peeche mere aap aati hain kyun?
Peeche peeche mere aap aati hain kyun?
Meri raahon mein aakhen bechati hain kyun?
aap aati hain kyun?

Kya kahoon aapse yeh bhi ek raaz hain
Ek din iska izhaar ho jayega
Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega

Kaisi jaadogari ki arey jaadugar
Kaisi jaadogari ki arey jaadugar
Tere chere se hath ti nahin yeh nazar
Hai meri yeh nazar

Dhalti nazaron se dekha agar aapne
Sharm se rang gulnaar ho jayega
Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega

Mein mohabbat ki rahon se anjaan hoon
Mein mohabbat ki rahon se anjaan hoon
kya karu kya karu mein pareshan hoon
mein pareshan hoon

Aapki yeh pareshaniyan dekhkar
Mera dil bhi pareshan ho jayega
Aap yuhin agar humse milte rahen
Dikhiye ek din pyaar ho jayega

Aisi baaten na kar o haseen jaadugar
Mera dil teri aankhon mein kho jayega

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Diwali Greetings

Wallpapers